Saturday, November 1, 2008

ahmad faraj..

Gham-e-Hayat ka Jhagra Mita raha hay koi
Chaly aao keh dunya say jaa raha hay koi


Azal say keh do keh ruk jaaye do Ghari
Suna hay aanay ka waada nibha raha hay koi

Wo is naaz say baithe hain Lash kay paas
Jaisy roothey howay ko manaa raha hay koi


Palat kar na aajaye phir saans nabzo'n main
Itnay haseen haathon say mayyat sajaa raha hay koi


Wo sufaid phool si ik dua meray sath sath rahee sadaa
Ye usi ka faiz hai barhaa mai bikhar bikhar k sanwar gaye

No comments:

Post a Comment